Pages

Thursday, 10 January 2013

Tribute to Pakistani President From Pakistani People

Sadar Zadari ka hae Pakistan aaj kal .....
Na bijli Na gas ka hae nam aaj kal.....

Kal tak gariyan road pae chalti rahen....
CNG line mae haen sab pareshan aaj kal....

Or mashwara diya kae lagao nam Bhutto ka....
Zaradari bhi hogaya bhutto ka khandan aaj kal....

Laga diya jo bhutto ka nam sath apnae....
khali bilawal ki thi koe pehchan aaj kal....

Khob loota hae mulk kae khazanae ko....
Hakomat ka nahi aur koe kam aaj kal.....

Kuch bhi kartae rahaen koe pochnae wala nahi....
America jo hae in ka emaam aaj kal....

Kabhi Rehman Malik kabhi sherein rehman....
Zardari ko pasand hae rehman aaj kal.....

Gilani Qurban hoa wari gaya Zardari par....
Aesa dekha hae kisi nae pehalwan aaj kal.....

Hina Rabbani Khar nae jab sae seat hae sambhali.....
Miltae haen osae mohabbat kae pegham aaj kal....

Har cheese biknae lagi har kam chalnae laga.....
Raja jee ko ata hae rental ka kam aaj kal.....

Dhond raha hae zamana bhar dehshat gardoon ko.....
Is pak mulq ki bana dali hae pehchan aaj kal......

Qadeer khan Jesae Hero ko bhi zeero bana dala.....
Kon karae ga is qoom pae ab ihsaan aaj kal.....

Iltaf, Imran, Sharif, Musharaf, sabhi.....
Kursi ki durr hae, in ka emaan aaj kal......

Gheroon nae kiya ham pae sitam dhaya ho ga......
Milta nahi is mulq mae koe musalman aaj kal......

SaaMay* Is Mulq sae Mohabbat agar na hoti tu......
Rehnae kae liyae rukta na yahan Insaan Aaj Kal......

By: SaaMay












No comments:

Post a Comment